Juzzbaat..


Chehre pe hasi hai
Par dil me ghutan hai
Masumiyat kahi goom ho gayi hai
Dhunda bahut par mili sirf ruswayi
Kisse jaakar kahe apni tanhayi
Gum to iss baat ka h ki koi h hi nhi sunne wala
Ghire h hum dikhawe ki khushi se
Jo sab apne chehre par liye firte h
Par intezaar tha uss roohani khushi ka
Jo ab kahi nhi mil sakegi
Sab iss bhid me aage badh gaye
Par hum jaha the wahi rah gaye
Hum bhi sath chalna chahte the
Par itna andhera tha ki rasta hi naa mila
Mere hoth band h par aankhe num h
Kyuki mere andar ki chikh kisi ko sunayi nhi de rahi
Ab lagta h koi to hota Jo samajh pata
Koi to thamne ke liye haath badhata
Aur kahta Mai Hu Na.. tumhe kuch hone nhi dunga
Par iss bezaar duniya me sab murde h
Jinhe ab kuch bhi mehsus nhi hota
Khuda ne bade fursat se ye duniya banayi thi
Par use bhi kya pata tha
 Insaan ke bhes me wo haiwaan bana baitha
Use bhi afsosh hoga apni galati ka
Par galati huyi h to sudharni bhi padegi
Jab sudharne chale to pata chala gunaah hua h
Gunaah ki maafi nhi sirf sazaa hoti h
Jo wo aur hum dono bhugat rahe h
Aur jab tak zinda h bhugtate hi rahenge
Soch kar jisne sab kiya wo barbaad hua
Jisne kuch na socha wo aabad raha..

Comments

Popular posts from this blog

Pyar chahiye..💮, Dikhawa nhi...🙌

Ruswayi..